2 Line Ishq Shayari in Hindi | 2025


Pyaar hamesha bade-bade gestures ki zarurat nahi maangta. Kabhi-kabhi sabse simple lafz bhi sabse gehra asar chhod jaate hain. Yeh article 2 line ishq shayari pr hy jo chhoti magar dil ko chhoo jaane wali lines ki duniya mein le jaata hai, jo thode shabdon mein gehre jazbaat bayan karti hain.

Jaise-jaise hum alag-alag themes aur examples ke saath aage badhenge, aap mehsoos karenge ki kaise yeh chhoti si poetry pyaar aur intezaar ke jazbaat ko khoobsurti se bayan karti hai. Chahe aap apne dil ki baat kehna chahte ho ya sirf shayari ki khoobsurti ka lutf uthana, yeh safar aapko shayari ke zariye dil se judne ka ek naya andaaz dega.

Ishq Shayari in Hindi 2 Lines

No 1:

Jis Ke Badley Mein Mujhe Tum Mil Jao;

Mein Aesi Naiki Ki Talash Mein Hoon

No 2:

Karam Itna Ha Khuda Ka
Wo Dil Ki Baat Aankho Se Samjh Jaate

No 3:

Maana Ki Teri Deed Ke Qabil Nahi Hun Main;

Tu Mera Shauq Dekh Mera Intezar Dekh

No 4:

Ishq Naazuk Mizaaj Hai Be-Hadh;

Aqal Ka Bojh Uthaa Nahin Saktaa

No 5:

Bulleh Shah Zehar Vaikh Ke Pita Te Ki Pita;

Ishq Soch Ke Kita Te Ki Kita;

Dil De Ke Dil Lain Di Aas Rakhi;

We Bullehia Pyar Iho Jiya Kita Te Ki Kita

No 6:

Apne Jaisi Koi Tasveer Banani Thi Mujhe;

Mere Andar Se Sabhi Rang Tumhare Nikle

No 7:

In Jalte Diyo Ko Dekh Kar Na Muskuraiye

Zara Hawao Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

No 8:

Idhar Aa Raqeeb Mere Tujhe Main Galay Laga Loon;

Mera Ishq Be-Maza Tha Teri Dushmani Se Pehle

No 9:

Ibadat Rab Ki Aur Soorat Yaar Ki Ho,

Sajda Rab Ka Aur Rasam Pyar Ki Ho,

Ashiqo Ke Mahzab Ka Kaya Kahna,

Zikar Rab Ka Aur Baat Yaar Ki Ho

No 10:

Fir Sapno Ka Aashiyan Bana Liya Hai Maine

Aap Fir Aandhiyo Ko Khabardar Kijiye

2 Line Ishq Shayari

No 1:

Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gayi;

Dono Ko Ek Ada Mein Razamand Kar Gayi

No 2:

Na Aana Usse Le Kar Mere Janaze Mein Meri Mohabbat Ki Tauhin Hogi;

Main Chaar Logon Ke Kandhe Pe Hounga Aur Meri Jaan Peeche Paidal Hogi

No 3:

Duniya Mein Itni Rasme Kyon Hain;

Pyaar Agar Zindagi Hai To Isme Kasme Kyon Hain;

Humein Batata Kyon Nahi Koi Ye Raaz;

Dil Agar Apna Hai To Ye Kisi Aur Ke Bas Mein Kyon Hai

No 4:

Ye Mohabaat Ka Bandhan Bhi Kitna Ajeeb Hota Hai;

Mil Jaayein Toh Baatein Lambi Bichhar Jaayein Toh Yaadein Lambi

No 5:

Sirf Chahne Se Koi Baat Nahi Hoti

Suraj Ke Samne Kabhi Raat Nahi Hoti

Hum Chahte Hai Jinhe Jaan Se Bhi Jyada

Wo Samne Hai Par Baat Bhi Nahi Hoti

No 6:

Chaahat Ke Yeh Kaise Afsane Hue;

Khud Nazron Mein Apni Begane Hue;

Kisi Bhi Rishte Ka Khayal Nahi Mujhe;

Ishq Mein Tere Iss Kadar Deewane Hue

No 7:

Unhe Ye Shikayat Hai Humse Ki;

Hum Har Kisi Ko Dekh Kar Muskurate Hain;

Na-Samajh Hain Wo Ki Kya Jaane;

Humein To Har Chehre Mein Wahi Nazar Aate Hain

No 8:

Tera Intezar Mujhe Har Pal Rehta Hai;

Har Lamha Mujhe Tera Ehsas Rehta Hai;

Tujh Bin Dhadkane Ruk Si Jaati Hain;

Kyonki Tu Mere Dil Mein Meri Dhadkan Banke Rehta Hai

No 9:

Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar

Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai

Read More: 2 Line Zindagi Shayari

No 10:

Na aana usse leke mere janaze mein Meri Mohabbat ki tauhin hogi

Main 4 logon ke kandhe pe hounga Aur meri jaan paidal hogi

Ishq Shayari 2 Line

No 1:

Chupa Loon Is Tarah Tujhe Apni Baahon Mein Ki Hawa Bhi Guzarne Kee Izazat Maange;

Ho Jaun Itna Madhosh Tere Pyaar Mein Ki Hosh Bhi Aane Kee Izazat Mange

No 2:

Dil Mein Ho Aap To Koi Aur Khaas Kaise Hoga;

Yaadon Mein Aapke Siva Koi Pass Kaise Hoga;

Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho;

Par Bologe Nahi To Humein Ehsas Kaise Hoga

No 3:

Yun Zamaane Se Koi Shikayat Na Thi

Kya Kahu Khuda Ke Ishq Ka Rang Kaisa Tha

No 4:

Yun Woh Zamaana Behad Rangeen Tha

Kya Dikhte Nazaare Zaraa Chehre Ko Dekhiye

No 5:

Koi Shaam Aati Hai Tumhari Yaad Lekar;

Koi Shaam Jaati Hai Tumahri Yaad Dekar;

Hume To Intezar Hai Us Sham Ka;

Jo Aaye Kabhi Tumhein Saath Leka

No 6:

Ret pe naam kabhi likhte nahin kyonki ret pe likhe naam kabhi tikte nahin

Aap kehte ho tum patthar dil ho par patthar pe likhe naam kabhi mitte nahin

No 7:

Dil Ko Us Raah Par Chalana Hi Nahi;

Jo Mujhe Tujh Se Juda Kar De

No 8:

Be-Khudi Be-Sabab Nahi n Ghalib ;

Kuchh To Hai Jis Ki Parda-Daari Hai

No 9:

Tu Mere Pyaar Ka Imtehan Lete Lete Thak Jayogi;

Aur Hum Izhare Mohabbat Karte Karte Fanah Ho Jayenge

No 10:

Jeete The Kabhi Hum Bhi Shaan Se;

Mehek Uthi Thi Fiza Kisi Ke Naam Se;

Guzre Hain Hum Kuchh Aise Makam Se;

Ke Nafrat Ho Gayi Hai Mohabbat Ke Naam Se

Conclusion

2 line ishq shayari ek khoobsurat kala hai jo pyaar ke jazbaat ko chhoti aur gehri lines mein bayan karti hai. Yeh दिलकश शायरी 2 लाइन har dil ko choo jaati hai, chahe woh khushi ho ya udaasi. Har ek line ek naya ehsaas laati hai, jo ya toh muskurahat de jaati hai ya purani yaadon ko taaza kar deti hai.

इश्क शायरी दो लाइन mein woh taqat hoti hai jo gehri baatein bina zyada alfaaz ke keh jaati hai. Kabhi-kabhi kam shabdon mein zyada asar hota hai aur yeh shayari usi ka behtareen udaharan hai.


Leave a Comment