30+ Best Pyar Shayari In English | 2025


Have you ever struggled to find the perfect words to express your feelings of love? You are not alone, and that’s where pyar shayari in English comes into play! This unique blend of romance and artistry allows lovers to convey their deepest emotions in a way that resonates with both the heart and soul.

In this article, we will explore some of the romantic shayari english that can help you articulate your feelings, making your romantic gestures even more memorable.

Best Love Shayari in Hindi English

No 1:

Aap Khud Nahi Janti Aap Kitni Pyari Ho
Jaan Ho Hamari Par Jaan Se Pyaari Ho
Duriyon Ke Hone Se Koi Fark Nahi Padta
Aap Kal Bhi Hamari Thi Aaj Bhi Hamari Ho

No 2:

Aapki Ada Se Hum Madhosh Ho Gaye,
Aap Ne Palat Kar Dekha To Hum Behosh Ho Gaye,
Yehi Ek Baat Kehni Thi Aapse,
Na Jaane Kyun Aapko Dekhthe Hi Hum Khamosh Ho Gaye.

No 3:

Tere Naam Se Mohabbat Ki Hai,
Tere Ehsaas Se Mohabbat Ki Hai,
Tum Mere Pass Nahi Phir Bhi,
Tumhari Yaad Se Mohabbat Ki Hai,
Kabhi Tum Ne Bhi Mujhe Yaad Kiya Hoga,
Maine Un Lamhat Se Mohabbat Ki Hai,
Tum Se Milna To Ek Khwab Sa Lagta Hai,
Maine Tumhare Intezar Se Mohabbat Ki Hai

No 4:

Pyar Shayari
Pyar Shayari

Jadu Hai Teri Har Ek Baat Me
Yaad Bahut Aate Ho Din Aur Raat Me
Kal Jab Dekha Tha Mene Sapna Raat Me
Tab Bhi Apka Hi Hath Tha Mere Hath Me

No 5:

Kitna Pyar Hai Tumse Yeh Jan Lo
Tum Hi Zindagi Ho Meri Is Baat Ko Maan Lo
Tumhe Dene Ko Mere Paas Kuchh Bhi Nahi
Bas Ek Jaan Hai Jab Ji Chahe Maang Lo

No 6:

Wo Aksar Humse Poochte The
Zindagi Kya Or Maut Kya Hai??
Hum Dil Hi Dil Mein Kehte The,
Tujhe Paa Liya To Zindagi,
Tujhe Kho Diya To Maut

No 7:

Usne Mujhse Pucha Pyar Kya Hai,
Mene Katon Pe Chal Ke Dikha Diya,
Usne Pucha Kitna Pyar Karte Ho Mujhe,
Maine Pura Aasman Dikha Diya,
Usne Pucha Kese Rakhoge Pyar Ko,
Mene Mahkta Hua Gulab Dikha Diya,
Usne Pucha Kese Rahoge Mere Sath,
Mene Zameen Par Apna Saya Dikha Diya.

No 8:

Kaash Aapki Surat Itni Pyaari Na Hoti
Kaash Aapse Mulakat Hamaari Na Hoti
Sapno Mein Hi Dekh Lete Hum Aapko
To Aaj Milni Ki Itni Bekarari Na Hoti

No 9:

Mujhe Aisi Girlfriend Chaiye
Jisme Mai Aur Tum Nahi Hum Hona Chaiye

Pyar Shayari in English

No 1:

Wo Ek Pal Hi Kaafi Hai
” Jisme Tum Shamil Ho ”
Uss Pal Se Jyada Toh
Zindagi Ki Khwaish Hi Nahi Mujhe

No 2:

Aap To Manzil Ko Mushkil Samajte Hain
Hum Aap Ko Manzil Samajte Hain,
Bada Fark Hai Aapke Or Hamare Nazariye Mai
Aap Hame Sapna Or Hum Aap Ko Apna Samajte Hai

No 3:

Jabse Dekha Hai Nazron Ne Aapko,
Inko Aur Kuchh Bhi Nazar Nahi Aata,
Na Jaane Kaisa Kiya Hai Jaadu Aapne,
Koi Aur Chehra Isko Nahi Bhata

No 4:

Shayari of Pyar
Shayari of Pyar

Hoon Mai Parwana Magar
Koi Shamma To Ho Raat To Ho
Jaan Dene Ko Hoon Haazir Koi Baat Toh Ho

No 5:

Tere Chehre Mein Mera Noor Hoga
Fir Tu Na Kabhi Mujhse Door Hoga
Soch Kya Khushi Milegi Jaan Us Pal
Jis Pal Teri Maang Mein
Mere Naam Ka Sindoor Hoga

No 6:

Mere Honton Se Tere Honton Ko Geela Kar Du
Tere Honto Ko Mein Aur Bhi Raseela Kar Du
Tu Es Kadar Pyar Kare Ke Pyar Ki Inteha Kar Du

No 7:

Zindagi Bewafa Hai Yeh Maana Magar
Chhod Kar Raah Mein Jaoge Tum Agar
Cheen Launga Main Aasman Se Tumhe
Suna Hoga Na Yeh, Do Dilon Ka Nagar.

No 8:

Yaado Me Humari Aap Bhi Khoye Honge,
Khuli Aankho Se Kabhi Aap Bhi Soye Honge,
Mana Hasna Hai Ada Gam Chhupane Ki
Par Haste Haste Kabhi Aap Bhi Roye Honge

No 9:

Lafzo Me Kya Tarif Karu Aapki,
Aap Lafzo Me Kaise Sama Paoge,
Jub Log Hamare Pyar K Bare Me Puchenge,
Meri Aankho Me Aye Jaanu Sirf Tum Nazar Aoge

No 10:

Aap Ke Hone Se Hamaari Khushi Judi Hui Hai…
Aap Ki Aankho Se Hamaari Roshni Judi Hui Hai…
Mat Karna Dur Apne Hothose Ye Muskurahat…
Aap Ki In Hansi Se Hamaari Zindagi Judi Hui Hai

Short Love Shayari in English

No 1:

Love Shayari
Love Shayari

Pyar Karna Aasan Hai Mere Dost ,
Par Mushkil Hai Nibhana ,
Pyar Toa Har Koi Kar Leta Hai Is Duniya Main ,
Par Mushkil Hai Sacha Pyar Pana

No 2:

Pyaar Ki Aanch Se To Patthar Bhi Pighal Jata Hai
Sache Dil Se Sath De To Naseeb Bhi Badal Jat!a Hai
Pyaar Ki Rahon Par Mil Jaye Sacha Hamsafar
To Kitna Bhi Gira Hua Insaan Bhi Sambhal Jata Hai

No 3:

Tumhari Is Ada Ka Kya Jawab Du,
Apne Dost Ko Kya Uphar Du,
Koi Acha Sa Phool Hota To Mali Se Mangwate,
Jo Khud Gulab Hai Usko Kya Gulab Du

No 4:

Tirchi Nigaahon Se Na Dekh Aashiq E Dilgir Ko
Kaise Teerandaz Ho Tum Zara Seedha To Krlo Teer Ko

No 5:

Hote Agar Paas Toh Koyi Shararat Karte
Lekar Tumhe Baho Mein Mohabbat Karte
Dekhte Teri Aankho Mein Nind Ka Khumar
Apni Khoyi Huyi Nindo Ki Shikayat Karte

No 6:

Pehli Mulaqat Thi Aur Hum Dono Hi Bebas The,
Wo Zulfien Na Sambhal Sake Aur Hum Khud Ko.

No 7:

Jaam Pe Jaam Peene Se Kya Faydaa.
Raat Hote Hi Saare Uttar Jayegi.
Hum Ne Toh Unki Aankhon Se Pee Hai.
Khuda Ki Kasam Saari Zindgi Nashe Mein Guzar Jayegi

No 8:

Pyaar Mein Milna Zaruri Nahi,
Pyaar Mein Izhaar Bhi Zaruri Nahi,
Zaruri Sirf Ehsaas Hai Jo Zindagi Sawarde,
Unhe Pana Ya Na Pana Zaruri Nhi

No 9:

Khoobsurat Hai Zindagi Ek Khwaab Ki Tarah,
Jaane Kab Toot Jaye Kaanch Ki Tarah,
Mujhe Na Bhulana Kisi Baat Ki Tarah,
Apne Dil Mein Hi Rakhna Khoobsurat Yaad Ki Tarah.

Best Couple Love Shayari English

No 1:

Gulab Ki Mehak Bhi Fiki Lagti Hai
Kaun Si Khushbu Mujme Basa Gayi Ho Tum
Zindgi Hai Kya Teri Chehat Ke Siva
Yeh Keisa Khawb Aankho Ko Dikha Gayi Ho Tum

No 2:

Tujhse Ru-b-ru Hokar Baate Karu,
Nigahe Milakar Wafa Ke Wade Karu,
Thaam Kar Tera Hath Baithu Tere Samane,
Teri Haseen Surat Ke Najare Karu,
Sharma Kar Najro Se Tera Kuch Chupke Kah Jana,
Teri Nigaho Ke Wo Ishare Samjhu,
Teri Har Ek Ada Par Kar Du Kayi Shayari,
Har Lafz Me Wafa Ke Dawe Karu,
Sambhale Nahi Sambhalti ‘jaana’
Ye Dil Ki Tadap,
Tu Hi Bata Main Kab Tak Yu Aahein Bharu.

No 3:

Hum Bhi Maujood Thy Taqdeer K Darwaazey Par
Log Daulat Par Girey Humney Tujhe Maang Liya

No 4:

Hum Ko Kyun Poochtey Ho K Kyun Karte Ho Pyar Muje
Kabhi Khud Se To Poocho Itnay Pyare Kyun Ho Tum

Conclusion

Pyar shayari in English serves as a beautiful medium for expressing the deepest emotions of love and affection. These heartfelt verses can make a lasting impact whether you are trying to woo someone special or simply want to convey your feelings to a partner.

The magic of words can bridge gaps and strengthen bonds, making your sentiments resonate more profoundly. Embrace the power of shayari to articulate what lies in your heart, and let your loved ones feel cherished and appreciated.


Leave a Comment