75+ Best Urdu Love Shayari In English – 2025


The Urdu poetry in its romantic expression wins heart from centuries. In this article we explore the magical world of Urdu love shayari in English, where love is beyond language. Being a romantic at heart or a mere interested party in poetry in love, this exploration will add to the depth of your knowledge about the matters of love.

Put yourself in the mood of finding one of the most touching following lines that might allow you to express yourself in your own highly personal way.

Urdu Shayari Love

Shayari of Love
Shayari of Love

No 1:

Darta hoon kehne se ke mohabbat hai tum se
Meri zindagi badal dega tera iqraar bhi, inkaar bhi

No 2:

Mere sukoon ki ibtida se le kar
Meri azmat ki aakhri had ho tum

No 3:

Nqaab kya chhupaye ga shabaab husn ko
Nigaah ishq to patthar bhi cheer deti hai

No 4:

Musafiron se mohabbat ki baat kar lekin
Musafiron ki mohabbat ka aitbaar na kar

No 5:

Agar tera sawaal hota ke sukoon kya hai
Hum muskara ke tere dil pe sar rakh dete

No 6:

Be-loas wafaen koi hum se seekhe
Jise toot kar chaaha, use khabar na thi

No 7:

Gardanein kon jhukaata hai mohabbat mein
Yaar to seene se lagaane ke liye hote hain

No 8:

Woh shakhs mujhe apne lafzon mein samjha raha tha
Aur hum jaise nadan mohabbat samajh baithe

No 9:

Mohabbat aisa munfarid khel hai
Jo seekh jata hai wohi haar jata hai

No 10:

Tum kai baar mil chuke hote
Tum jo milte agar duaon mein

Urdu Love Shayari in English

No 1:

Is raah-e-mohabbat ki tum baat na poochho,
Anmol jo insaan the, be-moul bikhe hain

No 2:

Jise pichhli mohabbat kehna parh jaye
Woh pichhli bhi mohabbat nahi hoti

No 3:

Tu hai to zindagi hai, tere bina ji na paayenge
Chhod ke na jaana, zindagi ko adhura, warna mar jaayenge

No 4:

Hazaaron se taalluq rakhna koi kamal nahi
Ek taalluq ko sachai se nibhaana kamal hai

No 5:

Tu mile ya na mile, mere muqaddar ki baat hai
Sukoon bohat milta hai, tumhe apna soch kar

No 6:

Koi to dila de, qaid-e-ishq se rehayi
Wada raha, phir nahi karoonga, daawa mohabbat ka

No 7:

Log marte hain aisi mohabbat ke liye
Jaisi main tum se karti hoon

No 8:

Woh baat karte hue kitni baar hasti thi
Main yaad rakhta tha… phir usay batata tha

No 9:

Mohabbat ke bhi kuch usool hote hain
Mera yaar un usoolon se be-khabar hai

No 10:

Dil ko paani mein rakh diya maine
Aag jaisi thi khwahishen uski

Deep Urdu Shayari in English

Lovers Poetry in Eng
Lovers Poetry in Eng

No 1:

Dil ki zid ho tum warna
In aankhon ne bohat log dekhe hain

No 2:

Tum se hi thi, tum se hi hai
Mohabbat jo thi, mohabbat jo hai

No 3:

Har dil ke muqaddar mein mohabbat nahi hoti
Har shakhs se har shakhs wafa bhi nahi karta

No 4:

Hum to jeete hain is duniya mein teri mohabbat ke liye
Warna is duniya mein mujhe koi dilchaspi nahi

No 5:

Pehle pyaar karta hai, phir iqraar karta hai
Mohabbat bhi insaan ik baar karta hai

No 6:

Aur kya chahiye tumhein meri mohabbat ka saboot
Mujhe to tumhare naam ke log bhi achhe lagte hain

No 7:

Har ek gham se salaamat guzar gaya hai dil
Khuda kare ke mohabbat ki taab le aaye

No 8:

Mohabbat mein nahi hai farq jeene aur marne ka
Usi ko dekh kar jeete hain jiss kafir pe dam nikle

No 9:

Hum mohabbat ke naam se bhi anjaan the
Ek shakhs ki chahat ne humein paagal bana diya

No 10:

Hamari mohabbat ki nazakat se abhi na waqif ho tum
Ham use jeena sikha dete hain jise marne ka shauq ho

Also Read: Best 50+ Shadi Ke Card Ki Shayari In Hindi Islamic – 2025

Urdu Shayari in English

No 1:

Aur kya chahte ho is dil mein maqam apna
Keh to diya hai meri kul kainaat ho tum

No 2:

Mera is shakhs se bas itna sa taalluq hai
Usse jab dard hota hai, mujhe mehsoos hota hai

No 3:

Jale apni yaadon ke hamare saath rehne do
Na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaye

No 4:

Kisi tareeqay ki ghalat fehmiyon mein mat aana
Main aadatan bhi mohabbat se pesh aata hoon

No 5:

Kaun kehta hai mohabbat ki zubaan hoti hai
Yeh haqeeqat to nigahon se bayan hoti hai

No 6:

Koi jurm nahi ishq jo duniya se chhupayein hum
Hamne tumhein chaaha hai hazaaron mein kahenge

No 7:

Jaise dhaagah ho koi tasbeeh mein
Aise saanson ke darmiyan ho tum

No 8:

Gila bhi tujh se bohat hai magar mohabbat bhi
Woh baat apni jagah hai, yeh baat apni jagah

No 9:

Main koi aur nahi, aks-e-noma hoon tera
Tu mere saamne aane se grizaan kyun hai.

No 10:

Aakhir tumhein kisi ka to hona hai na
Mere ho jaane mein kya maut hai bhala

Love Shayari in Urdu

Poetry in English of love
Poetry in English of love

No 1:

Tujhe bhoolne ke liye do nafl ada kiye lekin
Dua mein phir tujhe hi maang baithay

No 2:

Samajh kar maal ghaneemat mujh ko
Us ki yaadon ne bepanah louta

No 3:

Hamari chand tasweeren kahin mehfooz kar lena
Mustaqbil mein sawaal uthayega aakhir woh tha kaisa

No 4:

Hua hai tujh se bichadne ke baad yeh maloom
Ke tu nahi tha, tere saath ek duniya thi

No 5:

Bina matlab ke baat kare mujh se
Aise ek shakhs ki talash mein hoon

No 6:

Kitni zalim hoti hai yeh pal do pal ki mohabbat
Na chahte huye bhi dil ko kisi ka intezaar rehta hai

No 7:

Kabhi dilbar, kabhi dushman, kabhi dildar ho jana
Kahan se tum ne seekha hai bara bekaar ho jana
Kabhi mil kar raqeebon se humare haal pe hansna
Kabhi meri mohabbat mein gul o gulzaar ho jana

No 8:

Mere honthon pe kisi lams ki khwahish hai shadid
Aisa kuch kar, mujhe sigaret ko jalana na pade

No 9:

Hum palat kar kisi soorat bhi nahi aa sakte
Hum ghar se nahi, dil se nikaale gaye hain

No 10:

Hum palat kar kisi soorat bhi nahi aa sakte
Hum ghar se nahi, dil se nikaale gaye hain

Conclusion

The emotional quality of this poetic form surpasses language boundaries so that individuals of different background can relate to its messages. With Urdu love shayari in English, we are able to present the broad masses of people to the rich heritage of Urdu poetry.

Be it to express your emotions to someone you love or just enjoy the power of shayari, these translations will give you an idea about the romantic nature of shayari.


Leave a Comment