Chand ne sadion se kavi aur aashiqon ko prerit kiya hai. Moon Shayari in Hindi sirf shabdon ka ek sangrah nahi hai, balki romance, khoobsurti aur chandni ki roshni mein mehsoos hone wale jazbaat ka ek utsav hai.
Is article mein, hum un shayariyon ka safar karenge jo chand ki akarshan ko bayaan karti hain aur jo dil ke gehre jazbaat ko aur bhi behtareen tareeke se vyakt karti hain. Tayyar ho jaiye un kaviyon ke jazbaat mehsoos karne ke liye jinhone chand ko mohabbat aur yaadon ka ek misaal bana diya hai.
Chand Shayari in Hindi
No 1:
Kaash Mein Chand Or To Sitara Hota Falak Pe Ek Ashiyan Hamara Hota
Sabhi Tujhe Dor Se Dhoondte Rehte
Aur Tujhe Dekhne Ka Haq Sirf Hamara Hota
No 2:
Raat Ko Naya Chand Mubarak,
Chand Ko Chandni Mubarak,
Falak Ko Sitare Mubarak.
Sitaroon Ko Bulandi Mubarak.
Aur Aap Ko Hamari Taraf Se:- Eid Mubarak
No 3:

Tum Khak Zameen Ke Hokar Us Chand Ki Hasrat Kar Baithe
Wo Cheez Bohat Hi Oonchi Hai Tum Jisse Mohabbat Kar Baithe
No 4:
Koi Chaand Sitara Hay Koi Phool Se Pyara Hay
Koi Khushi Ka Ishara Hay Koi Dil Ka Sahara Hay
Tumhai’n Itna Batana Hay Wo Naam Tumhara Hay
No 5:
Hum 7 Aasmano Ki Ser Kar Aaye
Har Sitare Se Hum Dosti Kar Aaye
Aik Sitara Acha Laga Wo Hum aasman se Le Aaye
Ab Aap Hi Bataoo Aap Zameen Per Kaise Aaye !
No 6:
Is Pyar Ka Andaz Kuch Aisa Hai
Kya Bataye K Yeh Andaz Kaisa Hai
Kaun Kehta Hai K Tum Chand Jaise Ho
Sach To Yeh Hai K Chand Tumhare Jaisa Hai
No 7:
Kaate Nahin Kat Te Lamhe Intezaar Ke Nazaren Bichaein Baithe Hain
Raste Pe Yaar Ke Dil Ne Kaha Dekhe Jo Jalwe Husne Yaar Ke Laya Hain
Unhe Kaun Falak Se Utaar Ke
No 8:
Mehafil Na Hoti, Nazare Na Hote
Yun Chand K Pahalu Me Sitare Na Hote
Hum Is Liye Aapki Karte Hai Parwaah
Kyon Ki Dil K Kareeb Sare Nahi Hote
No 9:
Chand Sa Chehra Dekhne Ki Ijazat De Do
Mujhe Ye Sham Sajane Ke Ijazat De Do
Mujhe Qaid Karlo Apne Ishq Main
Ya Mujhe Ishq Karne Ke Ijazat De Do
No 10:
Wohi Hasta Howa Chand Ye Pur Noor Sitare
Tabinda Wa Painda Hain Zaroo Ke Sahare
No 11:
Suraj Se Koi Uski Roshni Mangke Dekhe
Chand Se Koi Uski Chandani Mangke Dekhe
Aur Kab Tak Rahe Hm Uhi Akele
Hmse Bhi To Koi Mahobbat Karke Dekhe
No 12:
Apni Hr Sans Tujhe Dena Gawara Krlon
Chand Bnjaon Me Or Tujhe Sitara Krlon
Tu Ne Hr Mor Pe Thama Hy Mujhe Girte Huwe
Smandr Bnjaon Or Tjhe Apna Kinara Krlon
No 13:
Ye haqiqat hai ki hota hai asar baton mein
tum bhi khul jaoge do char mulaqaton mein
tum se sadiyon ki vafaon ka koi nata na tha
tum se milane ke lakiren thi mere hathon mein
tere vadon ne hamen ghar se nikalne na diya
log mausam ka maza le gaye barasaton mein
ab na suraj na sitare na shaman na chand
apne zakhmon ka ujala hai ghani raton mein
No 14:

Aisay He Nahi Roz Falak Daikhta Tuj Ko
Chehra Hai Tera Chand Sitaray Teri Aankhain
No 15:
Kyu Hame Kisiki Talash Hoti Hai
Kyu Dil Ko Kisiki Aas Hoti Hai
Chand Ko Dekho Vo Bhi Tanha Hai
Fir Bhi Uski Chandni Se Roshan Raat Hoti Hai
No 16:
Dil Ke Angan Se Chand Ka Didar Ho Gaya
Main Deewana Ho Gaya
Chand Badlon Mein Kho Gaya
Maine Badal Hatne Ka Inteezar Kiya
Tab Tak Chand Kisi Aur Ka Ho Gaya
No 17:
Chand Ko Jab Qareeb Say Dekha
Door Say Dekhney Ki Shey Nikli
No 18:
Ye Dil Pyaar Ke Kabil Na Raha
Koi Bhi Izhar Ke Kabil Na Raha
Is Dil Me Bas Gayi Dosti Aapki
Aab To Chand Bhi Deedar K Kabil Na Raha!
No 19:
Ae Chand Tu Bhool Jayega Apne Aap Ko,
Jab Sunay Ga Dastaan Mere Pyaar Ki,
Kion Karta Hai Tu Ghuroor Apne Aap Pe Itna,
Tu To Sirf “PARCHAI” Hai Mere “YAAR” Ki…
No 20:
Afraad Ke Hathoo Mein Hai Aqwaam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara
No 21:
Magar Ek Sitara Meharban Kaii Chand Dund Mein Kho Gaye
Kaii Jag Jag Ke So Gaye
Magar Ek Sitara Meharban Jo Gawah Tha
No 22:
Raat Ko Raat Ka Tohfa Nahi Detay
Dil Ko Jazbat Ka Tohfa Nhi Detay
Denay Ko Tu Hum Tmhay Chand Bhi Dy Dain
Magar Chand Ko Chand Ka Tohfa Nhi Dete
No 23:
Kabhi Dil Ko Kabhi Shamma Ko Jala Kar Roye
Teri Yaad Ko Dil Se Laga Kar Roye
Raat Ki God Mein Jab So Gayi Duniya Sari
Chand Ko Teri Tasveer Banaker Roye
No 24:
Suna Hai Sitaron Ke Aage Bhi Jahan Hai,
Mujhe To Apne Hi Jahan Ki Khabar Nahin.
Insaan Insaan Ka Bairi Ho Chalaa Hai,
Kaleje Ko Chhue Aisi Koe Nazar Nahin.
No 25:
Isse Pehle Ki Chand Raat Ki Shaam hojaaye,
Mubarakbaad Ka Silsilaaam Hojaaye,
Bheed Me Shaamil Humaranaamho Jaaye,
Kyun Na Usse Pehle Eksalaam Ho Jaaye.Chand Mubarak.
No 26:
Aandhiyon Me Bhi Jaise Kuch Chirag Jala Kartey Hai
Utni Hi Himmat E Hausla Hum Bhi Rakha Kartey Hai
Manzilon Abhi Aur Dur Hai
Hamari Manzil Chaand Sitarey To Raahon Me Mila Kartey Hai
No 27:
Ay Chand Suno! Kuch Baat KaroTeri Baat Chalay, Meri Raat Kattay.
Tum Baat Karo Us Bastee Kee Badal, Baarish Aur Mastee Kee.
Ya Baat Karo Us Bundhann KeePaayal, Choori Aur Kungan Kee.
Ay Chand Suno! Kuch Baat KaroTeri Baat Chalay, Meri Raat Kattay.
Chand Par Shayari
No 1:
Chand Hasta Hain Chandi Muskurati Hain
Tum Yaad Karo Ya Na Karo
Tumhari Yaad Aati Hain
No 2:
Sitare Toote Rehte Hain ,
Bujhte Rehte Hai To Kya Umeed ,
Sitara Shanaas Logo Se
No 3:

Mein Sitara Hoon Jal Kar Bhi Roshan Rahoo Gi
Khud Ko De Dilase Behlati Rahoo Gi
No 4:
Ye Kya Howa Ke Bhar Asmaan Ke Angun Se
Bichar Gaya Jo Sitaraa Hamare Naam Ka Tha
No 5:
Tehra , Jhuka Hua Terey Dar Pey Nisaar Chaand
Nikla Jo Baadlo Sey Kabhi Sogwaar Chand
No 6:
Ahsaaan Agar Karo Tou Kisi Ko Khabar Na Ho
Sooraj Ka Jesey Zikr Nahi Chandani K Saath
No 7:
Afraad Ke Hathoo Mein Hai Aqwaam Ki Taqdeer
Har Fard Hai Millat Ke Muqaddar Ka Sitara
No 8:
Ab Jab Ke Tu Ne Har Ja,
Bichani Hain Zilmatein
Dharti Bhi Noch,
Chand Ka Hala Bhi Cheen Le
No 9:
Jo Sitara Tha Tumhare Naam Ka Wo Kho Chukka
Phir Rahe Ho Raat Ke Pichle Pehar Kis Ke Liye
No 10:
Hawao Ke Bina Fizaon Me Surur Na Hota
Chandni Ko Bhi Chand Bina Gurur Na Hota
Aap Jaisa Humsafar Na Hota
To Dil Bhi Shayari Karne Ko Majboor Na Hota
Moon Shayari in Hindi
No 1:
Dete Ho Kyu Yeh Dard Bas Humhi Ko?
Kya Samjoge Tum In Aankhon Ki Nami Ko
Yuh Toh Honge Lakho Diwane Is Chand Ke
Chand Kya Mehsus Karega Ek Taare Ki Kami Ko
No 2:
Hawa Batati Rahi Jake Ye Har Ek Ke Dar Per
Utha Liya Hai Sitaroo Ne Asmaa Sir Per
Wo Khuwab Tha Ke Haqeeqat Khabar Nahi Kya Tha
Mai Chor Aaye Ho Ankhein Ik Aise Manzar Pe
No 3:
Khizan Ke Door Mai Lutf-e-Bahar Laita Hoon
Gam-e-Hayat Ko Has Ke Guzar Laita Hoon
Guloon Se Rang Sitaroo Se Roshni Le Kar
Jamal-e-Yar Ka Naqsha Utar Laita Hoon
No 4:
Charag-E-Dair Jala Kar Dar-E-Haram Pohanche
Qareeb-E-Manzil Janaa Qadam Qadam Pohanche
Kaho Jameel Sitaroo , Kaho Haseen Gunchoon
Talash-E-Husn Mai Aakhir Kaha Na Hum Pohanche
No 5:

Chamak Raha Hai Jo Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Kisi Ke Hum Aur Koi Hamara Nahi Rahe Ga
Charaag Roshan Na Reh Sake Ge
Kahii Zameen Per Sar-e-Samawaat Ek Sitara Nahi Rahe Ga
Conclusion
Moon Shayari in Hindi khoobsurti, mohabbat aur intezaar ka ek behtareen sangrah hai. Chand hamesha se shayaron aur aashiqon ke liye prerna ka srot raha hai, jo sundarta aur shaanti ka pratik hai.
Dil se nikli shayari ki in nazmon mein gehre jazbaat chhupe hote hain, jo har uss insaan ke dil ko choo jaate hain jo raat ke aasmaan mein chamakte chand ko dekhkar kho jata hai. Chahe apne chahne wale ko apne jazbaat bataane ho ya bas chandni raaton ki khoobsurti mehsoos karni ho, yeh shayariyan ek shayrana jazbaat prastut karti hain.
Toh चाँद शायरी २ लाइन ke madhyam se apni mehboob ya mehbooba se apne jazbaat vyakt kijiye ya chand ki roshni mein kho jaaiye.