Dil ko sukoon dene wali baatein kabhi kabhi sirf chand lafzon mein hi mil jaati hain. 2 line Islamic shayari isi ka ek haseen andaaz hai choti si shayari, lekin dil aur rooh ko chhoo jaane wali. Chahe wo Allah se mohabbat ho, sabr ka paighaam ho, ya duaon ki gehraai – har do misray ek naya ehsaas le kar aate hain. Aise lamhon ke liye jab dil halka karna ho ya kisi ko naseehat pyaar se deni ho, 2 line Islamic shayari sabse behtareen tareeqa hai.
2 Line Islamic Shayari in Hindi
No 1:
Khaaliq se dil lagaaiye,
Makhluq wafa ke qabil nahin.
No 2:
Tujhse mangna bahut achcha lagta hai mere Allah sari zindagi mujhe kisi ka mohtaj na bananna
No 3:
Musa ne jis raste se dariya paar kiya fir’oun usi raste par gharq hua ” Raaste nahin rahbar bachate hain ”
No 4:

Jab zameen tumhen tang lage to aasman ki janib dekhna, nam aankhon se muskurana aur kahana, “Achcha, to aise raazi..!!!! Main bhi aise raazi… !!!”
No 5:
Kisi se pyar karo to, use itna paakiza rakho ki khuda bhi dekhkar kahe, “کُنْ فَیَکون”
No 6:
Mujhe kudrat ke ek amal se bahut pyar hai “Makafaat e amal” Sukoon sa a jaata hai ye lafź sun kar Ki jo jaisa karega vaisa bharega
No 7:
Kitni ajeeb hai gunaahon ki justuju Iqbal, Namaz bhi jaldi mein padhte hain Phir se Gunah karne ke liye..
No 8:

Kaun kahta hai ki khuda nazar nahin aata
Wahi to nazar aata hai jab koi nazar nahin aata
No 9:
Tumhara tahajjud padhna tumhare Rab se ishq ka saboot hai.
No 10:
Frishte kah rahe hain parwardigar se, “Sooraj haar gaya hai rozeदार se.”
Muslim Shayari in Hindi
No 11:

Bahut sukoon hai ismein jise log namaz kahate hain,
Jaise koi thaka hua musafir apne ghar pahunch jaaye.
No 12:
Khaaliq se dil lagaaiye,
Makhluq wafa ke qabil nahin.
No 13:
Thodi Si Ebaadat Bohat Sa Sila Deti Hai
Gulab Ki Tarha Chehra Khila Deti Hai
Allah Ki Yaad Ko Dil Se Jane Na Dena
Kabhi Kabhi Choti Si Dua Arsh Hila Deti Hai
No 14:
Rab Karey Tera Naseeb Chamakta Dikhai Dey
Aankhain Jo Band Karein To Madina Dikhai Dey
Sajda Jahan Karey Waha Qaba Dikhai Dey
Uthay Jo Ankhain To Gumbad-E-Khizra Dekhai Dey
Read More: Family Shayari
No 15:
Namaaz Padho Ki Isse Pehley
Tumhari Hi Namaaz Padhai Jaye
No 16:
Ho Ali Ke Naam Se Toofan Bhi Khauf Khate Hain
Jinhe Yakin Nahi Wo Doob Jate Hain
Farishte Qabr Me Kuch Aur Poochhte Hi Nahi
Zuban Pe Naam-E-Ali Sun Ke Laut Jate Hain
No 17:
Banai Kya KHUDA Ne Sohni Surat MUHAMMAD Ki
Huye Aashiq Wo Jisne Dekh Li Surat MUHAMMAD Ki
Kamal-E-Husn-E-Yusuf Pr Faqt Ashiq Zulekha Thi
KHUDA Khud Jis Pe Ashiq Hy Wo Surat Hy MUHAMMAD Ki
Muslamano Ko Jab Janat K Darwazy Pe Rokengy
Hukum Hoga K Jany Do Ye Ummat Hy MUHAMMAD Ki
No 18:
Madinay Ki Galli Me Ho Ghar Apka,
Makkay Ki Vadi Me Ho Basera Apka,
Duaa He Ek Dost Ki Ek Dost Ko,
Gumbad-E-Khazra K Saaye Me Ho Sajda Apka.
Aur Who Bhee Ramzan K Mahene Me.
No 19:
Be-Zubanon Ko Jub Wo Zaban Deta Hai
Parhne Ko Phir Wo Quraan Deta Hai
Bakhshne Pe Aye Jub Ummat K Gunahon Ko
Tohfe Mai Gunahgaron Ko Ramzan Deta Hai
No 20:
Hamare Dil Ki Basti Bikhar Gayi Hoti,
Rooh Main Zakhm Ho Gaye Hote,
Yeh Zindagi To Aap Ki Amaanat Thi Warna,
Hum To Kab Ke Allah Ko Pyaare Ho Gaye Hote!
No 21:
Agar Allah Apki Dua Qabool Kerle,
To Iska Matlab He KWo Apka Iman Mazboot Ker Raha He,
Agar Thori Der Se Kare ToAap K Sabar Ko Barha Raha He
Laikin Agar Qabool Na Kare To Aapka Iman Azma Raha He.
Is Liye Hamen Har Hal Mein “Allah”Per Bharosa Karna Chahiye.
No 22:
Sukon Dhondta Phirta Tha Me Baharon Me Haseen Wadiyon Mei,
Surmaye Nazaron Me., Me Is Talash Mein Ja Phncha Chand Taron Main
Magar Ye Mujhe Mila Quran K 30 Paron Mein
No 23:
Mangu Bus Khuda Se Wo Ibadat Dede
Uske Khzane Se Thodi Si Mohabbat Dede
Ya To Wo Mujhe Umar Bhar Ka Sath Dede
Ya Uske Dar Pe Marne Ki Izazat Dede
No 24:
Na Koi Amal Hai Sunnany Kay Qabil
Na Hi Yeh Moon Hai Tumharay Dekhanay Kay Qabil
Us Ko Bhi Seenay Say Lagatay Ho Aqa(Saw)
Jo Hota Nahi Moon Laganay Kay Qabil
No 25:
Rehmaton Ki Hai Yeh Raat
Namazon Ka Rakhna Sath
Manwa Lena Rab Se Har Bat
Duaon Main Rakhna Yaad
Mubarak Ho Aap KoShab-E-Meraj
No 26:
Ye Mana K Sheh Rug Se Nazdeek Hai Tu
Main Ye Fasla B Kahan Chahta Hoon
No 27:
Aqal Ko Tanqeed Say Fursat Nahi
Aray Isqh Par Amaal Ki Bunyaad Rakh
No 28:
DUA..Jo Kahin Na Mile Wo Khushi Chahiye
Dard Kaisa B Ho Bandagi Chahiye
Mujhko Duniya Ki Ab Koi Khuwahish Nhi Aakhrat Ki Mujhe Zindagi Chahiye
Tere He Aage Haath Phelaon Ab Aesi ALLAH Mujhe Bebasi Chahiye
Tu Ho Jaye Raazi Sanwar Jaun Main Mere Malik Aagahi Chahiye
Main Jhukun Or Jhukun Bus Jhuka He Rahun Ibbadat Me Bus Ye Aajizi Chahiye
Main Bhatak Jaun To Aasra Dey Mujhe Aesi ALLAH Mujhe Rehbari Chahiye..
No 29:
Yeh Tayra Karam Hai Ya Goos Jo Bana Liya Hai Apna
Warna Kahan Mujh Sa Yeh Kamina Kahan Silsila Tumhara
No 30:
Aye Khuda Tu Yaad Aaya Fiza Ne Jab Dariya Mein Pani Ko Sehlaya,
To Jitne Bal Khake Paani Kinaron Se Takraya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.
Jab Baarish Ki Boondon Ne Dharti Ko Chooma,
Humne Zameen Par Bikharte Sitaaro Ko Paya,
Jitne Sitaaron Ko Saawan Ne Barsaya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.
Fiza Ne Jab Gulshan Mein Foolon Ko Mehkaya,
To Jitani Baar Mehak Ko Humne Apni Saanson Mein Paya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.Baadlon Ke Peeche Se Jab Suraj Yun Muskaya,
Uski Naram Kiranon Se Tune Jab Zindagi Ki Lau Ko Jalaya,
Utani Baar Ae Khuda Tu Yaad Aaya.Gulshan Ki Raahon Se Jab Main Guzra,
To Jitane Khushgwaar Ehsaason Ko Maine Kareeb Paya,
Utani Baar Aye Khuda Tu Yaad Aaya.
Aye Kaash Ke Tu Har Waqt Yun Hi Mere Saatjh Rahe
Na Main Kuch KahunTu Bhi Khamosh Hi RaheBas Nazron Se Nazrein
Isharon Mein Baatein KaheAur Dekh Kar Yun Humein
Koi Aur Deewana Bhi Yeh Kahe Ki Aye Khuda Tu Yaad AayaAye Khuda Tu Yaad Aaya
Conclusion
2 line Islamic shayari sirf lafzon ka khel nahi, balki dil se nikalti duaon aur jazbaat ka izhaar hai. Chahe aapko इस्लामिक शायरी हिंदी attitude mein kuch impactful lines chahiyein ya dil ko choo jaane wali इस्लामिक शायरी हिंदी, har shayari ek paighaam, ek roohani touch lekar aati hai. In choti choti baaton mein jo noor hai, wo sirf mehsoos kiya ja sakta hai – aur share bhi kiya ja sakta hai un logon ke saath jo dil se deen se juda rehna chahte hain.
1 thought on “Elegant 2 Line Islamic Shayari For Reflection (2025)”